Wo khush hai phenk kar

Wo khush hai phenk kar.
Unke maane wale khush hai lapayt kar.
Hum hairan hai ye sab dekhkar.
Sarmaayadaar hai nizaam, poonjiwaad ne kiya ghareebo ko aur beyhaal lekin tasweer ye paish ki jaarahi hai ke Vikaas ki seedhi chadhi jaarahi hai.
Milawati khaakr sab ki sehat hai bekaar, yaha tak ke hawaa bhi hai ab zeher ki tarah kharaab lekin wealth with wellness ka aaina bahar ke logo dikhaya jaaraha hai.
Communalism ka bol hai, lekin bahar ye shor hai ke democracy ek dam sabke liye ekta ka prateek hai.
RabindraNath Tagore ko quote unquote kiye hai on “a heaven of freedom where the world is not divided by narrow walls” lekin saara khel in insaano ki banayi hui lakeero aur deewararo ka hi hai jisse siyaasat purzor hai.
Dehshat ke ek mudda uthaya gaya hai lekin dehshat jo desh mein hai uspar khamoshi ka daaman hamesha se chaaya hua hai.
Climate change aakhir kaar bol hi diya gaya hai warna ye to bas ek soch thi, sehen karne ke shamta ki kami thi.
Wo khush hai phenk kar.
Unke maane wale khush hai lapayt kar.
Hum hairan hai ye sab dekhkar.
?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *