Kuch tasweer tasawwur se bahar hoti hai

Kuch tasweer tasawwur se bahar hoti hai.
Hum sochte reh jaate hai ke Jo hum dekh bhi nahi paarahe hai, ye sab ye Kaise sehan karpaarehe hai?

Kabhi Kabhi ye khyaal bhi numaya Hota hai, ke kyun hi dekhe ye manzar agar kuch karhi Nahi paarahe hai?

Kahi dekhkar ye manzar hum bhi ehsaas se khaarij na ho Jaye, ke ye to ab Roz marrah Ka majrah ban Kar rahgaya hai, kuch Kia Nahi jaasakta hai?
Jab kuch Kar hi nahi parahe hai to behtar hai ke aankhein band hi karli jaaye, khud ko aziyat hi nahi di jaaye!

Kuch tasweer tasawwur se bahar hoti hai, aur insaan ko majboor kardeti Hain.
Lekin.
Ankhein band karlene se sachchai badal Nahi jaati Hain.

Har cheez ko dekhna Ka ek nazariya hota hai,
Jo ehsaas waley hai unko zulm dekhkar khwaah Kisi par ho, bhout takleef se guzarna padta hai.
Lekin, Jo emaan bhi rakhtey hai wo samjhtey hai ke ye sakht azmaaish Ka sarmaaya hai.
Behtar hai wo log Jo mazeed zulm Nahi kartey ye kehkar ke ye mazloom Ka hi gunah Ka sarmaya hai.

Wo darte hai, aur apne Rabb se dua bhi kartey hai aur Jo unki istitiaat Hoti hai us hisaab se jaddojahad Karte rehte hai.
Wo jaantey hai, ke RabbulAalameen Al Muakhir bhi hai, Jo cheezon ki taakheer karta hai,
Jiski samajh hamare hadh se parey hai.

wo jaantey hai ke,
WO Al Adl bhi hai.

Yaha Nahi to Waha ye hisaab to hona hi hai.

To beshak, ye tasweerein tasawwur se bahar hai, Badi aziyat Ka Sabab hai, lekin Kiya ham ye sab dekhkar undekha karrahe hai, ye sab dekhkar Apne dard ko sahi qadam mein dhaal rahe hai, ke Jo Dekh Kar mehsoos Kiya hai dard, ab kuch Uski dua aur dawa Ka intezaam Kiya jaaye?

Ye sawaal khaas hamein Karte rehna chahiye in tasweer ko dekhkar Jo tasawwur bhi nahi ki jaasakti hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *