Raat se Din ka nikalna

Aankhein thak si gayee hai, ab aasu ruk se gaye hai!

Takleef bhout sakht hui, jab talkhiyan tez hui!

sahi ko sahi aur ghalat ko ghalat kehdena, apno ko bhi aaina dikhadena!

Aise mein jo radde amal saamne aate hai, wo asal azmaaish hote hai!!!

Insaan soch mein padjaata hai, kyun hi dikhaaya aaina unko jo khud na’beena banna pasand kare?
Kia hi mila ye sab karke?
Toot sa jaana, ye sab sochkr aur phir sajday mein girjaana, Hasbunallahu Wa’nimal Wakeel par yaqeen karke!

Phir uthkr Allah ke kalaam se kalaam karna, aur paana ke yehi momin honey ka tha asal taqazaa ke ap kahe wo baat jo ho haqq, chahe phir ho wo kisi ke bhi khilaaf!

Agar insaan, jaan bujhkar na dekhna chahe haqeeqat, to ye kami na apki, na aaine ki hai, balke aankhei hote hue bhi insaan ke na’beena ban jaane ki hai!

Insaan, is dunya mein apna bhout bada wakeel ban jaata hai, aur har jhoot ki behtareen wakaalat karjaata hai, haqq ki talqeen karne walo ko chahiye ke aankho ko na thakaaye itna, aasu na bahaaye zyada, bas apna mu’amla kardey us ke hawaaley jo qalb ki gheyraiyyo ko ba’khoobi jaanta hai, wo jaanta hai – jo zaahir hai aur jo baatin hai!
Wo Al-Aleem hai, aur behtareen Wakeel hai!

Hasbunallahu wa’nimal Wakeel ek haqeeqi yaqeen hai!

Wo Al-Hakeem hai, raat se din nikaal deta hai!

Wo Al-Qadeer hai, sharr se bhi khair nikadeta hai,
bas ap ikhlas e niyat rakhe aur apna wakeel – Al-Wakeel ko banadey!

Hasbunallahu wa’nimal Wakeel!

1 thought on “Raat se Din ka nikalna”

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *