Pheynk diye gaye, beych diye gaye, phir qaid kardiye gaye

Mehez kuch hi dirham mein Yusuf alaihi assalam ko beych dia gaya!

Andaaza bhi nahi tha unlogo ko, ke Jinko beych rahe hai, Unka rutba Anmol hai Aasmaano aur Zameen par

Unka qissa, muqaddas kitaab Quran mein khoobsurat bayaan keh Kar bayaan Kiya jayega!

Sochiye,
Mehez chand dirham mein Allah ke hone wale Nabi ko beych diya gaya!

Ab dhyaan se suniye –

Hosakta hai makhlooq aksar nafrat aur ajeeb o ghareeb ehsaas ke sarmaaye mein apko haqeer samajh kar, ya apko haqeer paish karne ki jaddojahad mein apke khilaaf saazish mein mubtala hojaaye,
Hosakta hai wo kaamyaab bhi hojaaye Aisa Kar guzàrne mein

Lekin, Yaad rakhiyega
Chahe pheynk diye jaaye, ya beych diye jaaye kabhi apne apko Allah ki Rehmat se mehroom aur maayoos na hone dijiyega, kyunki makhlooq chahe kuch bhi chahe, agar Khaaliq ne apko Apne liye qubool karrakha hai to ap nafrat aur saazish ke gehrey saaye se bhi ek khoobsurat misaal ban Kar hi ubherengey

Kabhi bhi makhlooq Ka apko kamtar dikhaana, apke ehsaas kamtari ki wajah mat banne dijiyega

Izzat zillat mehez Allah hi ke haath mein hai

Kuwein mein pheynk diye gaye, kuch dirham mein beych diye gaye, phir baad mein sakht ilzaam ki wajah se salaakho ke peeche bhi band kardiye gaye,
Aur ye sab kaafi tha ehsaas kam tari ke shikaar honey ke liye aur apne apko haqeer samjhne ke liye

SubhanAllah!

Ye hai wo Jin par hum salaamati aur dua bhejtey hai –
Alaihiassalam
(Peace be upon him)

Yusuf alaihi assalam.

Sab taareef Allah ke liye hai, Jo behtareen karsaaz hai.
Jo hamey aise hairat angez qissey se rubaru karaata hai, ke hum tadabbur karsakey aur ibrat leysakey.

www.sanamaryam.com

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *