Hame yaad rahega

Ye waqt bhi yaad rahega,
Jab hum hi ko maara jaa raha tha, aur hamare hi khair khwaah bataya jaraha tha,
Ek taraf muslim auraton ke betein, bhai, shohar ko kuchla jaa raha tha, dusri taraf talaq bill sirf unke rehnuma bankar paas karaya jaraha tha!
Ye waqt hame yaad rahega, jab qaatil hi qadhi they aur maqtool ki hi saari
makkarriyan thi,
Jab mazloom hi ma’anind tha ke mazeed pareshaan kiya jaaye aur kuchal diya jaaye!

Duniya kahi khamosh dekhrahi thi,
Kuch behes o mubahisa bhi chal sa raha tha,
“Yaha rehna hai to ye kehna hoga” ka bada zor tha aur sab trishul ki nauk par tha,

Ek raaye aamma ye banadiya gaya tha,
Ke ye muslim qaum hi qaabil nahi ke zinda rahe, kyun na kuchal kuchal kar inki video banakr upload kardijaaye, kuch khauf phailega, zyada nafrat, pakad kuch hogi nahi, aur shayad agli baar elections mein hi banjaaye jeet ka sabab!

Zamaana bhi hame yaad rakhega, zameen aur aasmaano par ke jo aaye they dusro ko zulm se noor ki taraf leyjaane ke khaatir, aj hai khud insaaf ke muntazir!

Ajeeb kaifyat hai, sab dushman hai, koi khula to koi chupa!

Jab zehen thak jaata hai aur insaan rukh karta hai ke chalo pucha jaaye unse jo bataye ke masle ka hal apne ilm aur tajurbey se,
Phir,
Karo jo baat aalim se to kehte hai ye hai apne hi gunaho ki sazaa,
Agar waqai, yehi hai unka muta’ala to phir ye bhi bataye wo khulkar zara ke gunah phir yehi hai sabse bada ke jo kalaam aaya tha isliye ke wo lejaaye tamaam insaaniyat ko minaz zulumat ilan noor wo ab bas bangaya hai ek paak kitab jiska hai sirf padhna padhaana ek amalan dastoor!

Innalillahi wa’inna ilahi ra’jioon!

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *