Ye nafratein, Ye saazishein bhout hairat angez hai aur Dil ke liye intehai sakht hai.
Waqt agar abhi bey murawwat, nihayat jaahil ke haqq mein hai to ye nahi samjhiyega ke wahi kaamyaab hai, haan beshak ye Dil ke liye bhout sakht hai ke Jo zaalim hai, unhi ki awaaz buland hai, unhi ke haqq mein abhi hawa sab taraf hai.
Ye sab sakht hai!
Waqai, Waqt sakht hai lekin waqt hai to badleyga hi, is badal mein aql, sabr aur saabit qadami se qaayem rahe
Sakht waqt bhi ek na’imat hi ke ma’anind hotey hai jo insaan ko insaaf ka ehsaas aur ehmiyat seekha jaatey hai, aur mauqa dey jaate hai ke wo is jaddojahad mein jut jaaye jo phir banjaaye zariya unki pehchaan Ka Zameen aur Aasmaan par
Waqt sakht hai,
Lekin waqt hi hai
aur Waqt badalta hai!