Kyun na phir uthaaya jaaye wo Kalaam jiske baare mein kaha hai Khaaliq ne khud, ke agar utaara jaata kisi pahaad par to maarey khauf ke phat jaata!
Kyun na seekhi jaaye seerat phir se is surat se ke is baar karna hai amal seerat e nabwi par, lena hai sabaq ke kaise they wo paighamber,
jo they rehmat sabke liye aur hai ibrat ka sabab ke laaye wo nikalkar logo ko zulumaat se noor ki taraf!
Lailatul qadr wo raat hai jismein utaara gaya tha Quran, jo hai Furqan jo karta hai Farq sahi aur ghalat mein, haqq aur baatil mein, jo deta hai ibrat emaan walo ko amar bil maaruf, nahi anil munkar par,
Kyun na in aane wali ramadan ki taaq raato mein talaash kare na sirf laylatul qadr, magar apna sahi raabta Quran se, Quran ka haqq hum pe,
jo afsos kahi tark hai hamare taaqo par,
Ye Kalaam,
isko aam baat na samjhe, ye Kalamullah hai,
yehi hame bataeyga ke jab andhero mein ho to ujaala kaisa karna hai buland, rakhkar seerat e nabwi ko madde nazar!