Apki jo ye duniya hai ya Rabb!
Hain waise to ye ek mukhtasar sa safar
Lekin ba’ mushaqqat hai ye momino ke nuqta e nazar
Bhout khoobsurat hai Apki ye duniya, Ya Rabb!
Lekin, musalsal ek fikr rehti hai taari, ke kahi Apki adaalat mein ho na jaaye hum munafiq!
Kia hi khoob ho Ya Rabb!
Agar ap Apni hifazat mein ley ley ye qalb
Asaan to nahi hai ye safar, na’shukr bhi hai hum bhout, magar hai jaise bhi, hai to Apke hi, kyun na Ap ley le hamey Apni hifz o zamaan mein kuch is tarah ke shaitan ke waswasey bhi kuch na karsakey asar
Kyun na aise karey Ap hamari hifazat ke jab hum ho hashr mein haazir, Apka khaas rahem hum par ho taari
Aur wo Rahem itna khaas ho Ya Rabb!
Ke hum bas hairaan hi reh jaaye ke hum to is laayaq nahi they, bas Usne khaas Rahem kardiya
Kia hi khoob ho Ya Rabb!
Agar haasil hojaye ye sab
Bhout bhaari cheez, hum jaise na’cheez maang rahe hai
Lekin, Ap hi to seekharahe hai
Ke Ap hai Al – Mujeeb,
The Responder of duas and pleas.