Musafir

Musaafir hai, safar mein hai, mukhtasar sa waqt hai, mukhlisi ke saath bandagi kare Khaaliq ki, aur apne apko is safar mein mulawwis na honey dey, un samaan se jo khud faani hai!!

Hum se pehle bhi duniya thi, hamare baad bhi rahegi, kuch waqt log yaad karenge, kuch bhalai mein to kuch buraai mein phir ahista ahista sab bhool jaane lageyngey, aur ye ek kadwi sachchai hai!
Jin logo ki wajah se hum bhout kuch khair nahi karte ke log kia kahenge, ya bhout kuch isliye karte hai ke nahi karenge to log kia sochenge, ye sab be’mainey hongey!
Wo bhi to hamari tarah mitti hi hai aur bil aakhir mitti mein hi miljaayengey!!

Ap kuch bhi kariye, log apko baare mein ek raaye, jo aksar o beshtar khilaaf hi hogi zaroor rakhengey!
Zaroori ye hai ke ap dekhiye har baat par ke logo ka Rabb kia kahega aur kia hi hum jawab dey paayengey?

Sharf yehi hai hamara ke sajda sirf Khaaliq ko ho, ibaadat sirf Uski hi ho,
Makhlooq ke tey kardah sharaait mein padgaye to haqeer hi rehjayengey!

Hum Usi ke hai aur Uski taraf lauta diye jaayengey!
Ye haqq agar samjh agaya to zindagi asaan ho jayegi, warna hum khud hi apne ap par badey zaalim hojayengey!

Musafir hai, mukhtasar sa waqt ka safar hai, kyun na is safar mein kam bojh liya jaaye, aakhir safar hi to hai, jiski ibtida hochuki hai aur bas inteha qareeb hai!
Ye koi aqalmandi to nahi ke safar ko bila wajah sakht banaliya jaaye, apne saath wo samaan lekar jiski koi zarurat nahi, kyun hi aise bojh lekar chala jaye?
Kyun na ek aisa musafir bana jaaye jo apne liye bhi achche ho aur hum musaafir ke liye ek naimat hi ho!

Kyun na, aise ban jaaye ke jab safar khatam ho to manzil par istaqbaal e hasan ho!

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *