Hum aise waqt mein paida hue hai jab ke aalami satah par Islam aur muslim se nafrat apne urooj par hai!
Zaahir hai, insaan hai to ehsaas bhi hongey, aksar aas paas aur door daraaz ka ye maahol dekhkar bura lagta hai, ghumzada bhi hote hai, gussa bhi aata hai yaha tak kabhi kabhi ek udaasi si bhi chaajaati hai!
Lekin, ab ye hame tey karna hai ke hum kia karte hai?
Ghumzada hokar, maayus hokar baithjaaye ya phir baatil aur zulm ke khilaaf ek seesa pilaayi hui deewaar banjaaye?
Idhar udhar bathakte rahe ya phir uswatun hasanah (sallallahu alaihi wassallam) ki seerat ki roshni mein amaal karey?
Kuch jaddojehad karke thak jaaye natai’j na milne par, ya phir ikhlaas ke saath Isteqamaat se saabit qadam rahe ye yaad rakhtey hue ke Allah swt Al Mu’akhir bhi hai, jo cheezon mein Apni la – mehdud hikmat ki wajah se taa’kheer bhi karte hai aur hamara imtehaan bhi lete hai !